Puchte ho toh suno kaise basar hoti hai,
Rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai,
Sans bharne ko toh jina nahi kehte ya rab,
Dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai,
Jaise jagi huyi ankhon main chubhen kanch ke khwab,
Raat is tarah diwanon ki basar hoti hai,
Gam hi dushman hai mera, Gam hi ko dil dhundta hai,
Ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai,
Ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu,
Kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai.
Wednesday, 6 April 2011
Puchte ho toh suno kaise basar hoti hai.....- 5 Stars
Sar se chaadar badan se qabaa le gayi........- 5 Stars
Sar se chaadar badan se qabaa le gayi,
Zindagii ham faqiiro se kya le gayi,
Merii mutthii me suukhe huye phuul hai,
Khushbu ko udakar hawa le gayi,
Main samundar ke siine me chattaan thaa,
Raat ek mauj aayi bahaa le gayi,
Hum jo kaagaz the ashkon se bhiige hue,
Kyo chiraagon ki lau tak havaa le gayi,
Chaand ne raat mujhko jagaa kar kahaa,
Ek ladkii tumhara pata le gayi,
Meri shoharat siyasat se mahafus hai,
Ye tavayaf bhi ismat bacha le gayi.
Kyun chah kar bhi......- 5 Stars
Kyun chah kar bhi kuch bol nahi pate hai,
Ander hi ander dukh dard seh jaate hai,
Chup rah kar bhi woh bahut kuch kah jaate hai,
Kya kare log unki is khamoshi se har manzil paar kar jaate hai.
Kudrat ka karishma hai yeh sara,
Kabhi juda hue kabhi mile dubara,
Jivan ke is daur main pata nahi,
Kitni baar jeeta or kitni baar hara,
Jindagi ke har mod par kisi ne giraya,
Toh kisine ne ubhara,
Per manzil aasan si lagti hai jab,
App jaise dost ne diya sahara.
Wafa ke sheesh mahal me......- 5 Stars
Wafa ke sheesh mahal me saja liya maine,
Woh ek dil jise patthar bana liya maine,
Yeh soch kar ke na ho taak main khushi koi,
Ghamo ki ouat main khud ko chupa liya maine,
Kabhi na khatm kiya maine roshni ka muhaaz,
Agar chiraagh bujha, dil jala liya maine,
Kamal yeh hai ke jo dushman pe chalana tha,
Woh teer apne kaleje pe kha liya maine,
Woh jiski adaawat main ek pyaar bhi tha,
Us aadmi ko gale se lagaa liya maine.
Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main.....- 5 Stars
Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main,
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main,
Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai,
Shaamil rahi jo har ghadi mere nisaab main,
Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak,
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main,
Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi,
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main,
Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila,
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main.
Mere nasib mein ae dost tera pyaar nahi....- 5 Stars
Khijaa ke phool pe,
Aati kabhi bahaar nahi,
Mere nasib mein ae dost tera pyaar nahi,
Mere naseeb mein ae dost.
Tera pyaar nahi.
Na jaane pyaar me kab main,
Jubaan se phir jaaoo,
Main ban ke aansoo khood apni,
Najaron se gir jaaoo,
Teri kasam hai mera koi,
Aitbaar nahi.
Mere naseeb mein ae dost,
Tera pyaar nahi.
Kabhi nazar se gira diya.........- 5 Stars
Kabhi nazar se gira diya,
Kabhi dil mein basa diya,
Mohabbat mein tum ne hume,
Kabhi hasaya to kabhi rula diya,
Kabhi pyar be shumar kiya,
Kabhi dard be inteha diya,
Apni diwanagi mein tumne hume,
Kiss makaam par pahucha diya,
Kabhi musaan se bhar diya,
Kabhi sehra mein tanha kar diya,
Dil ko khilona samajh kar tumne,
Hume har khel mein hara diya,
Kabhi umeedo ko barha diya,
Kabhi mayusiyo ne jeena duswaar kiya,
Phir bhi humdum humne tumhe,
Pyaar ki had se zyada pyaar kiya.